Sunday, April 5, 2009


Abhi To Usnay Ana Tha..


Abhi to usnay ana tha,
Nai umangon naye armanon k liye,
K uski behn ki shadi thi,
Abhi to tankhuwa ayi thi,
Usnay to kal ana tha,
Magar ye kia k wo aj aya bhi to,
Char kandhon par,
Safaid libas pehnay,
Usay to ye rung khalta tha,
Khuwab or khumar rakhnay wali ankhain aj band theen,
Na janay kiun wo itni ghairi neend main doba tha,
Halankay kai kam abhi uskay adhoray thay,
Kai jaga card denay thay kai intezam karnay thay,
Phir wo kiun or kaise sogaya tha,
Behn ko rukhsat bhi to usnay karna tha,
Magar yahan to meri beti usay wida kar rahi thi,
Kai bar samjhaya usay par,
Hameesha isay satata hai rulata hai,
Jab ye roth jati hai phir manata hai,
Meri beti aj Khush amdeed kehnay k bajaye,
Bhai ko KHUDA HAFIZ keh rahi hai ,
Bhala anay walaon ko kb aise kehtay hain?
Keh rahi hon issay k hansay zara bolay,
Iska bhai aya hai,
Par ye ro rahi hai or wo chup laita hai sunta naheen,
So raha hai shayed thak kar aya hoga,
Magar usay to kal ana tha..

-illusiOn~


P.S(dedicatd to those who died in islamabad attach last night.. najanay kiski maa uska intezar ab tak kar rahi ho)


0 Comments:

Post a Comment