main |
sidebar
Rukhsa't!Uskay jatay waqt ka manzar,
Kaise bhool jaon,
Wo toota lehja mera,
Wo andaz ajizana,
Thukrana wo uska,
Majboriyan uski,
Guraiz uska wo nazron ka jhukna,
Main samjh sab rahi thi,
Main ne bhi palkon ka jhalar giraya,
Or ankhon ki seep main,
Ansu jaise moti band kar liye,
Usay kaha jao,
Usnay kaha bohat zarori hai,
Main ne kaha jao,
Usnay kaha jee logi na,
Main ne kaha ab jao bhi,
Usnay kaha waqt hai thora,
Main ne kaha chalay jao,
Usnay kaha sun to lo,
Main ne kaha jatay kiun naheen,
Usnay kaha maaf kardogi na?
Main ne kaha ja bhi chuka,
Usnay kaha Khuda hafiz,
Main ne ankh ko khola jab,
To kia main ne dikha,
Na uski sada thi na wo khud khara tha,
Han wo ja chuka tha,
Seep jaisi ankhain khuleen,
Us main chupay moti bahye,
Main ne aks phr pani main apna daikha,
Main to ab bhi waisi thi,
Jaisi wo batata tha,
Phir kiun wo rukhsat chahta tha,
Kiun wo jana chahta tha!
-illusiOn~
0 Comments:
Post a Comment