Wednesday, March 11, 2009


Agar rishton main mohabbat
Bohat he zarori hai,
To ye tum kia kar rahay ho,
Bhai ko bhai se larwa kar,
Kon se rishtay nibha rahay ho,
Ye kon hain jo ro rahain hain?
Ye kin ki sansain ukhar rahi hain,
Inhain marnay wala kon hai?
Ye tum ho , ye main hon,
K chup rehnay wala zulm par bhi to zalim hai,
Jb sitam karnay walay bhi hum hain,
Sehnay walay bhi hum hain,
To ao chalo utho ! Milkar!
Muqablay par utrain ge,
Ye rishton ko tornay walay,
Ab ki bar tootain ge,
Jab hum milkar hansain ge larain ge,
Ye bilak kar roain ge,
Ao zara dushman ko dikhain ge,
K muqad'dar in ka photay ga,
Ab bas yehi roain ge,
Hum to ab mohabbat manaiin ge,
Rishtay nibhaain ge,
Zarooratain mushkilain mil kar batain ge,
Hum dushman ko dikha dain ge,
Hum alag hon to hum tot jatay hain,
Dushman asani se tab humain mar saktay hain,
Par jab hum mil jain to,
Dushman hum se bhagain hain!

- illusiOn~


P.S ( dedicted to Pakistan)

3 Comments:

  1. Kings Chaos said...
    nice dedication insi, hope all is well again, people interpret religion for their own agendas and means wrecking havoc on no one else but poor people :)
    I Zaydi said...
    Thank you kingsley!
    sasan7916 said...
    Very touchy. I am glad more people have the same feelings and are also vocal enough to share them loudly.

Post a Comment