Monday, December 14, 2009
Tmhain kis ne kaha hai ye,
K main bhool payi hon,
Ghalat fehmi hai tumhari bas.
Na koi naya rasta talasha hai,
Na koi simt teh ki hai,
Ik jag hasai pe bas ankhain bheegi hain,
Meray dil ko yad hai tum ne,
Jis lamhay tora tha, laho ka ghusl dia tha,
Han bas us din he roi thi,
Par kahan jante ho k phir main kab soi hun,
Tamsha ban gayi thi main,
Bari thi hoi jag hasai bhi,
Main ik bar phir se lauti thi,
Umeed e wafa lekar teray shehr ayi thi,
Par wahan pohnchi to khabr ye suni main ne,
Tmaharay shehr walay,
Kisi or to tum se mansoob hain kar bethay,
Na phir junbish hoi ghanton,
Na main sans le payi,
Akaili main bhara majma’n,
Kharaba dil gaya lamha,
Na phir laut payi main na ruk kabhi payi,
Jo rasta teh kia mil kar,
Ussi pe hum bechar aye,
Wo rukhsat akhri thi apni,
Teray shehr main na phir kabhi aye!!
Saturday, December 12, 2009
I always wanted to be sure,
Of everything I had and everything I do,
I each time put a step forward,
I did it with passion and so much effort,
With certainty to win and no hopes to lose,
But then one day,
I felt as if my feet’s are somewhere down,
Deeper then I could imagine,
Heavy and fatigue,
I tried hard with all my strength,
But nothing helped,
And then I remember the God of mine,
HE who created me once,
With a certainty of nothing but my return,
I felt the path was easy,
Though my feet still pained,
But a wave then came,
I took away the sand and my hostage feet,
They were set free,
Nothing changed,
The sea still was calm and waves were same,
But I was different,
The belief was born-again…
Thursday, December 10, 2009
Mujhe abhi bhi dard hota hai,
Par main aj bhi isko zahir yun naheen karti,
K itnay baray jahan main sunaon kisko bhala apni,
Yahan to hal wo hai k,
Guzar jain jo chand log to afsos bhi bhari hai,
Koi mar jaye to ab giran na dil pe guzarta hai,
Na zara afsurdgi ch'hati hai,
Jahan zinda rehnay walon ko saza jeenay ki milti hai,
Or marne walon ko ,
Bhala unka kia tazkira karon main,
K wo begunah lashain kafan ko he tarasti hain,
Lahoo main doobi hoi lashain,
Wo piyaron ki ah’hain or sadain,
Main jab yeh sab sunti hon,
To ansoo poonch kar apne,
farsh se kuch bulndi par asman se zara agay,
Ik nighah e dard k hathon,
Pegham e ilteja rakh kar hawaon k naam karti hon,
K dukh unke baray honge jinke apne gaye honge,
MALIK! to unko sabr ab dena,
Or hosla bakhsh kar hisar apna zara karna,
K wo ashk ankhon main samaye,
Teri imdad k muntazir honge,
Mera kia hai?
Main aglee bar apni phir hajat minmina dongi,
Abhi unki sun le to jinhon ne lashain uthayi hain,
Lahoo main dobay piyaro'n ki qabrain banayi hain,
Aye Allah ab rehm ho in par,
Dukhon k ye satye hain…
- illusiOn~
I was depressed like every other time in start the theme was different but as I wrote it eventually turned to a different destination..
Wednesday, December 9, 2009
Abhi ye raat baqi hai,
Meri sanson main bhi rawani hai,
Magar kal jab yeh chand mujhe se mun mor kar,
Kis or dais main ja tu’lu hoga,
Main us waqt se darti hon,
Jab koi raat akhri hogi,
Libas e kafn urh kar main,
Phir nayi subh yun dekhon gi,
K kuhram e fugh’an,
mere charon tarf brpa hoa hoga,
Mera dil dob jata hai,
Bas ye anjam sooch kar he,
Kaise samna hoga kia mera muqam hoga,
Kia wo bakhshnay wala tab mehrba’n hoga,
Mera dil doob jata hai anjam e bewafai par,
Jo na dooba judai par wo khhon roota hai,
Ussay shanasai par,
Mujhe phir dar sa lagta hai,
Ankhain band karne se,
Thakan se chor hokar bhi,
Main garm bistar par narm takiye par,
Khuwabon ki chah lekar ankh band karti hon,
To anjam yad ata hai,
Wo sari ankahi batain, wo sari ghalat fehmi,
Wo jhagra wo badtameezi wo sab yad ata hai,
Mera dil kan’p jata hai,
Or wo Mehrba’n mujhko har bar maaf karta hai,
Neend ko naam wo mera ik naya pegham deta hai,
Zehn ko doob janay ka samaan deta hai,
Umeed e subh thama kar wo mujhe inaam deta hai..
- illusiOn~
Waqt ka takaza tha,
Jisse main chor aya tha,
Wo abhi tak akeli thi,
Usay to bhol jana tha or agay bharna tha,
Magar ye kia hoa k main,
Ab k jo us taraf aya Khara usko waheen paya,
Wohi be-rbtgi si thi wohi andaz thay uskay..,
Wohi tevar puranay waheen atkay se ansoo thay,
Na janay kiun aas lagay wo khari waheen thi,
Pata to usay bhi tha mujhe naheen lut kar ana,
Meri manzil to agay thi bas saath he chotna tha,
Jab main tasleem kar betha to wo kiun mehv-e-intezar thi,
Jise main chor aya tha ussi ki yeh kahani thi..
Tuesday, December 1, 2009
Ajeeb dasht hai k ,
Zakhum alood jigar hai,
Babool jaise bana raha hai,
Nishan meri shikasta roh pe,
Main jiyon kaise,
Or maron main kiun kar?
Magar is shikasta’s roh se koi to poochay,
Koi to samjhaye,
Meri roh k zakhum hain aise,
K kar rahain hain jism ko \ghayal,
Main mar rahi hon na jee rahi hon,
Zakhum zakhum hon bas,
Lahoo lahoo hoi hun.