Saturday, March 28, 2009




Mere jazbon se mt khailo,
Inhon ne kia bigara hai,
Kia ye tm se khilay hain,
ya dil tmhara tora hai,
mjhe yun mat karo chota,
Na jhutlao is tarhan se tm,
Zara sa samna karlo,
Tm mjh se baat to karlo,
Batao faisla kia ho,
Saza nam ho kiske ,
jaza kiska muqadar ho,
Fateh hai tehra kon,
Ab qatl kiska ho,
Ye humdum soch lo ab tm,
K hum to tmharay,
Tm par imaan rakhtay hain,
Sar khum bhi kardain ge,
Zara jo tm faisla karlo,
k kon mat khaiga,
Kon geetay jai ga,
Meri to arzi bas itni hai,
K mere jazbaat se na khailo tm!
Inhon ne kia bigara hai?
-illusiOn~

Friday, March 27, 2009



Mujhe bas ik nazm likhni hai,
Aisi nazm k,
Jjiski ibteda tm ho,
Inteha main hon,
Jiski bunyad tm ho,
Khameer main hon,
Jiska wajood tm ho,
Jazbaat main hon,
Jiska khaloos tm ho,
Aitemaad main hon,
Jiska ka safar tm ho,
Manzil main hon,
Jiski tamheed tm ho,
Mazmoom main hon,
Magar karun kia,
Likhon ye sab magar,
Magar kaise?
K tm ho kar bhi yun ho,
K lagta hai naheen ho,
Kaho kahon kaise,
Jo is dil main bhara hai,
Kahon kaise,
K mjhe to ik nazm likhni hai,
Aisi nazm k,
Jiska unwaan tm ho,
Kahani main hon,
Bs ik aisi nazm likhni hai,
Kaho tm he likhon kaise?
Mjhe jo ik nazm likhni hai.
-illusiOn~

Tuesday, March 24, 2009


Go masroof rehnay se,
Yaad na uski kam hogi,
Tofaan to phir bhi ayega,
Or ankhon main jb wo chahyega,
Phir takiye raat bhar bhegay ga,
Tab gharwalay sab pochain ge,
Kiun surkh hain doray ankhon k,
Kia kal shab thi barsat bhi ayi,
Kiun bin mosam sawan barsa tha,
Ye dehan kahan par chor ayi,
Kis duniya main dil apna de ayi,
Wo takiya subha kiun gila tha,
Ye saray sawal sb pochain ge,
Par hain jawab to na maloom,
Ab dekh k sb mjh ko,
haulain ge,
Main bolon kia,
Or bolon kiun?
Kiun Tashheer karon ,
Main zakhumon ki,
Jab wo ab na wapis ayega,
Main chup hon ab,
Or masroof bohat,
Bas raat ko dil ghabrata hai,
Jab dil main khayal ye ata hai,
K ab wo na wapis ayega!


Tumhari apni duniya main,
Bulaon par tumhain kaise,
K manna tmhara ab hai namumkin,
Mera ana naheen mumkin,
K safar ki tayyari hai,
Bari mushkil se bandhi hai,
Magar jana bhi kiun zarori hai,
K ab tak aaas qayam hai,
Main rasta chor jaon par,
Tumharay laut anay ka imkan baqi hai,
Intezar hai mujh ko,
K tum ao to main phr jaon,
Aise he kiun weran rasta kar jaon,
So tum bhi,
Zara jaldi karo anay ki,
K koi tak raha hai rah,
Ao tm zara idher to main udhar jaon,
Han! Tm ao to main jaon!


-illusiOn~


Sehriyon par beth kar
yun roth janay se
kia wo laut ayega
akar tmhain manayega?
Pyar se chupkay se
akar kiun behlayega?
Jo usko pana hai
wo to tm ho nahi
phr ye aithna kiun?
Isqadar rothna kiun?
Us ki aas main sehriyon par
yun bethna kiun?
Jo andar jakar k lait jao tm
so jao tm k
Wo ab na ayega!
Intezar ... Lahasil
Wo ab na ayega!
by me!

Sunday, March 22, 2009



Rukhsa't!

Uskay jatay waqt ka manzar,
Kaise bhool jaon,
Wo toota lehja mera,
Wo andaz ajizana,
Thukrana wo uska,
Majboriyan uski,
Guraiz uska wo nazron ka jhukna,
Main samjh sab rahi thi,
Main ne bhi palkon ka jhalar giraya,
Or ankhon ki seep main,
Ansu jaise moti band kar liye,
Usay kaha jao,
Usnay kaha bohat zarori hai,
Main ne kaha jao,
Usnay kaha jee logi na,
Main ne kaha ab jao bhi,
Usnay kaha waqt hai thora,
Main ne kaha chalay jao,
Usnay kaha sun to lo,
Main ne kaha jatay kiun naheen,
Usnay kaha maaf kardogi na?
Main ne kaha ja bhi chuka,
Usnay kaha Khuda hafiz,
Main ne ankh ko khola jab,
To kia main ne dikha,
Na uski sada thi na wo khud khara tha,
Han wo ja chuka tha,
Seep jaisi ankhain khuleen,
Us main chupay moti bahye,
Main ne aks phr pani main apna daikha,
Main to ab bhi waisi thi,
Jaisi wo batata tha,
Phir kiun wo rukhsat chahta tha,
Kiun wo jana chahta tha!
-illusiOn~


Wednesday, March 11, 2009




They say
talk more it helps
but when it can?
When it did?
As i am talking since my birth
with my family
with you my love
But why i am always
heard not listened?
Why my questions are
difficult to answer?
Why instead of anything
you all have to say is 'just like that'
why cant people listen to me
When i want to speak
what i want to say.!
I want to talk
But there is noone to listen
a bunch can hear but they
They cant listen..!

-illusiOn~

;;